Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate’ HaiN

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate’ HaiN

YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate’ HaiN


Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane’ KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate’ HaiN


Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN
Laf’z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate’ HaiN


Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle’ Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate’ HaiN


Aik Sa Waq’t Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-e-Waq’t Se Haalaat Badal Jaate’ HaiN

Woh Ghazal Walon Ka Uslub Samajhte Honge

Wo ghazal waalon ka uslub samajhte honge,
Chaand kehte hain kise khoob samajhte honge.

Itni milti hai meri ghazlon se soorat teri,
Log tujh ko mera mehboob samajhte honge.

Main samajhta tha mohabbat ki zabaan khushboo hai,
Phool se log usey khoob samajhte honge.

Dekh kar phool ke auraaq pe shabnam kuchh log,
Tera ashkon bhara maqtoob samajhte honge.

Bhool kar apna zamaana ye zamaane waale,
Aaj ke pyaar ko maayub samajhte honge. !!

Mohabbat Kam Nahi Hogi

Meri aankhein salamat hain,
Mera dil mere seene mein dhadakta hai,
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.

Mohabbat ek wada hai..
Jo sachai ki undekhe kisi saat mein hota hai,
Kisi rahat mein hota hai.
Ye wada shayari ban ke mere jazbon mein dhulta hai.
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.

Mohabbat ek mousam hai,
Ki jis mein khwaab ugte hain toh,
Khwabon ki hari shakhein..
Gulaabon ko bulaati hain,
Unhein khushboo banati hain.
Ye khushboo jab
Humaari khidkiyon mein dastakien de kar guzrti hain
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi…!!

Ye Naam Mumkin Nahin Rahega

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
Ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.

Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
Lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.

Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
Jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.

Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
Khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.

Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
Toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.

Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
Duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!

Ishq Karo To

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
Hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
Aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
Koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
Ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
Jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle .!!