Duniya say mujhay piyar tha, Sab bhool chuka hoon
Ik shakhs mera yaar tha, Sab bhool chuka hoon
woh hijr ki raatoon ke sulagtay howe lamhay !
Aankhoon pe koi baar tha, Sab bhool chuka hoon
Haan ! meri khata thi ke tujhay toot k chaha
Haan ! mein hi gunahgaar tha, Sab bhool chuka hoon
Yeh kis nay mujhay dhoop ka ik roop diya hay
Main saaya-e-deewar tha, Sab bhool chuka hoon
Ab gham mujhay deemak ki tarah chaat rahay hain
Main khushiyoon say sarshar tha, Sab bhool chuka hoon
Bhijwata tha tujh ko kabhi chorri, kabhi kangan
Main kitna khanak dar tha, Sab bhool chuka hoon
Bakhshi hay mujhay piyar ke badlay mein Judai
Jo bhi tera kirdaar tha, Sab bhool chuka hoon
Khushbu bharay roomal kahan yaad hain mujh ko?
Tu kitna Waza'e daar tha, Sab bhool chuka hoon
Aankhain shab-e-furqat mein raha karti thien purnam
Main tera talab gaar tha, Sab bhool chuka hoon
Bas itna mujhay yaad hay Ik wasal ki shab thi
Iqrar tha, Inkaar tha, Sab bhool chuka hoon
Sach maan ke ab kuch bhi mujhay yaad nahi hay
Tu kis ka taraf daar tha? Sab bhool chuka hoon
Ik shakhs nay paagal sa bana rakha hay Wasiq
Main kitna samajhdaar tha? Sab bhool chuka hoon......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment