Iss Gham k Siwa Iss Duniya Mein

Iss gham k siwa iss duniya mein
Ab aur hamara koi nahi
Kabi dil k saharay thye kya kya
Ab dil ka sahara koi nahi

Iss dil ki kashti mojoon mein hai
Doobay gi phir doobay gi
Derya hai kinara koi nahi
Toofan hai sahara koi nahi

Raat andheri gham k sayee
Kalay badal taiz hawayain
Aik andher chaya hai
Aur chand sitara koi nahi

Dil rakh hoa barbaad hoye
Aur aag lagi deewaron mein
Iss gham main akele bethey hain
Aur saath hamara koi nahi

Ab gham k saiwa iss duniya main
sath hamara koi nahi

No comments:

Post a Comment