Yeh Sabhi Naseeb Key Khail hein
Kisi Haath Mein to Gulaab hon
Koi Haath Khaali ho Is Trah
Sabhi Zakhm Zakhm hon Ungliyaan
Kisi Sar Pey hon Kai Saayebaan
Kisi Sar Pey Chhat Bhi koii Na ho
Kahien Paaon Jaltey hon Dhoop Mein
Koi Chaaon Mein Hii Chaley Sada
Kahien Baarsihon Ka Wafoor ho
Kahen boond Paani Miley Nahien
Koi Khaak Pey ho para huwa
To Kisi Key Bakht Mein Takht ho
Koi Jeet-ta Hi Rahey Sada
Kahien Haar Hi ho Likhi hoi
Koi door Reh Key Bhi Paas ho
Koi Paas Reh Key Bhi door ho
Kai Faaslon Pey Ruka huwa
Kai dooriyon Pey Khara huwa
Rahey Raaston Ko Talaashta koi Umr Bhar
Kahien Khud Pukaar Lien Manzilien
Unhien Jo Chaley hon Talaash Mein
Koi Haath Yun Hi Uthey Rahien
Kahien Bin Duwa Key Miley koi
Jisey Main Ney Maanga Tha Baarha
Wo Nadeem Mujh Sey Bichar Gaya
Mera Humsafar Mujhey Chor Kar
Kisi Aur Simat Chala Gaya
Jisey Saath Chalna Tha Umr Bhara
Wo to Chand Qadm Bhi Na Chal Saka
Meri Aankh Mein wo jo Khwaab They
Wo Khwaab Meray Ujar Gaye
Meray Haath Mein jo Gulaab They
Wo Gulaab Saarey Bikhr Gaye
Yeh Sabhi Naseeb Key Khail hein
Kahien Gul Khilien, Kahien Khaar hon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment