Kya Tumhain Judai Lagti Hai Aasaan

Kya tumhain judai lagti hai aasaan
Wo khwaab wo lamhe woo armaan
Jo hum ne kabhi banaey they
Sajaey theh gungunaey they

Nahi nahi yeh mat socho
Aik baar zara apne dil se tu poucho
Hum ne aik dosrey ko chaha hai
Samja hai parkha hai maanaa hai

Kaisy bhool jaein hum yeh sath
Jo hum ne nibhaya din o raat

Pyar ki manzilein mushkil hain per namumkin nahi
Hum ne pyar kiya tu nibhana parega kiyn ke yeh koi kheil nahi

No comments:

Post a Comment