Ibadaton Ki Tarah Main Ye Kaam Karta Hun

Ibaadaton ki tarah main ye kaam karta hun,
Mera usool hai pehle salaam karta hun.

Mukhaalifat se meri shakhsiyat sanwarti hai,
Main dushmanon ka bada ehtaraam karta hun.

Main apni jeb mein apna pata nahin rakhta,
Safar mein sirf yahi ehtemaam karta hun.

Main dar gaya hun bahut sayadaar pedon se,
Zara si dhoop bichha kar qayaam karta hun.

Mujhe khuda ne ghazal ka dayyar bakhsha hai,
Ye saltanat main mohabbat ke naam karta hun. !!

Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
Ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.

Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
Magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai.

Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
Ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.

Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal,
Hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.

Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
Tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai. !!

Udas Raat Hai Koi Toh Khwab De Jaao

Udaas raat hai koi toh khwaab de jaao,
Mere gilaas mein thodi sharaab de jaao.

Bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti mein,
Faqeer kab se khada hai jawaab de jaao.

Main zard patton pe shabnam saza ke laaya hun,
Kisi ne mujh se keha tha hisaab de jaao.

Meri nazar mein rahe doobne ka manzar bhi,
Guroob hota hua aaftaab de jaao.

Fir iss ke baad nazaare nazar ko tarsenge,
Woh ja raha hai khizaan ke gulaab de jaao.

Hazaar safhon ka deewan kaun padhta hai,
Bashir badr’ koi intekhaab de jaao. !!

Dil Tha Ki Khush Khyaal

Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
Ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
Dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
Amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.

Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
Aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
Shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
Phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua. !!

Mere Bistar Pe So Raha Hai Koi

Mere bistar pe so raha hai koi,
Meri aankhon mein jaagta hai koi.

In pahaadon mein rehte hain humzaad,
Bol kar dekh bolta hai koi.

Aaj main jaagunga ki sote hue,
Meri palkon ko choomta hai koi.

Mera shaitaan mar gaya shayad,
Mere seene pe so raha hai koi.

Rang ye bhi bahut puraana hai,
Sochta koi, bolta hai koi.

Saat pardon mein chhup ke dekh liya,
Kapre badlo toh dekhta hai koi.

Ye maine kab kaha.. nahin ye main nahin kehta,
Awaaz meri hai par iss mein bolta hai koi. !!