Jo Na Mil Sakay Wohi Bewafa

Jo na mil sakay wohi bewafa,
Yeh barri ajeeb si baat hai
Jo chala giya mujhe chor kar,
Wohi aaj tak mere saath hai

Jo kisi nazar se adaa hui,
Wohi roshni hai khayaal mein
Woh na aa sakey rahon muntazir,
Yeh khalish kahan thi wisaal mein
Meri justaju ko khabar nahi,
Na woh din rahe na woh raat hai
Jo chala giya mujhe chor kar,
Wohi aaj tak mere saath hai



Kare pyar aur lab pe gila na ho,
Yeh kisi kisi ka naseeb hai
Yeh karam hai uska jafaa nahin,
Woh juda bhi reh ke kareeb hai
Wohi aankh hai mere ru-ba-ru,
Ussi haath mein mera haath hai,
Jo chala giya mujhe chor kar,
Wohi aaj tak mere saath hai



Mera naam tak jo na le saka,
Jo mujhe qaraar na de saka
Jissey ikhtiyaar to tha magar,
Mujhe apna pyar na de saka
Wohi shaks mairi talaash hai,
Wohi dard mairi hayyaat hai
Jo chala giya mujhe chor kar,
Wohi aaj tak mere saath hai



Jo na mil sakey wohi bewafa,
Yeh bari ajeeb si baat hai
Jo chala giya mujhe chor kar,
Wohi aaj tak mere saath hai

13 comments:

  1. Jo na mil sakay wohi bewafa,
    Yeh barri ajeeb si baat hai
    Jo chala giya mujhe chor kar,
    Wohi aaj tak mere saath hai
    Jo kisi nazar se adaa hui,
    Wohi roshni hai khayaal mein
    Woh na aa sakey rahon muntazir,
    Yeh khalish kahan thi wisaal mein
    Meri justaju ko khabar nahi,
    Na woh din rahe na woh raat hai
    Jo chala giya mujhe chor kar,
    Wohi aaj tak mere saath hai


    Kare pyar aur lab pe gila na ho,
    Yeh kisi kisi ka naseeb hai
    Yeh karam hai uska jafaa nahin,
    Woh juda bhi reh ke kareeb hai
    Wohi aankh hai mere ru-ba-ru,
    Ussi haath mein mera haath hai,
    Jo chala giya mujhe chor kar,
    Wohi aaj tak mere saath hai


    Mera naam tak jo na le saka,
    Jo mujhe qaraar na de saka
    Jissey ikhtiyaar to tha magar,
    Mujhe apna pyar na de saka
    Wohi shaks mairi talaash hai,
    Wohi dard mairi hayyaat hai
    Jo chala giya mujhe chor kar,
    Wohi aaj tak mere saath hai


    Jo na mil sakey wohi bewafa,
    Yeh bari ajeeb si baat hai
    Jo chala giya mujhe chor kar,
    Wohi aaj tak mere saath hai

    ReplyDelete
  2. Who is great poet of this ghazal?

    ReplyDelete
  3. یہ بھی وقت وقت کی بات ہے
    کبھی تم نہیں کبھی ہم نہیں
    یہ اصول اپنے ساتھ ہیں
    کبھی تم نہیں کبھی ہم نہیں
    کبھی الجھنیں کبھی مشکلیں
    کبھی فکر ہے کبھی حوصلے
    کبھی اپنی اپنی تلاش میں
    کبھی تم نہیں کبھی ہم نہیں
    وہی جام ٹھہرا ہے نظر میں
    ہمیں ڈوبنےکا ہے خوف سا
    اسی انکہے احساس میں
    کبھی تم نہیں کبھی ہم نہیں


    🌷 ذروا رائے 🌷

    Umeed krti hun k meri likhi ghazal pasand ayegi ....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Who is poet of this ghazal ??

      Delete
    2. If you dont mind can I try to compose it...
      Its Me touqir ali (Fb)
      touqirali1995 (instagram)

      Delete
  4. Let me know the meaning of this song..??

    ReplyDelete