Aaj ki raat bohat kathan hai
Aaj ki raat bohat zalim hai
Aaj ki raat mere paas chalay aao
K kisi tor kisi tor to yeh raat katty
Main ne to tanha hi guzar li hain ratein saari
Phir yeh kioon aaj tum bohat yaad aatay ho
Aakhir kiya baat hai iss qadar aaj ki shab
Aansoo ban ban k miri aankhoon se bahay jatay ho
Tu na tha to bhi aabad thi dunya meri
Tere bina bhi zindgi muskrati thi
Yeh kiya hoa tere anay se k ratein badleen
Mere din meri bohat si batein badleen
Tu na tha to bhi to haseen thay manzar
Magar yeh kia hoa mere maola meri aankhein badleen
Main jo aaj tere ru ba ru khara hoon aisay
Zara poocho to mujhay kaon yahan laya hai
Yeh teri masoom si aankhein yeh tere piyaray se hont
Yeh teri bahain mujhay roz bulati hain yaheen
Main tere piyar k talissam main kho kar sanam
Yoon hi roz tere paass chala aata hoon
Yoon hi tujhay piyar kartay hoay raatein guzreen
Magar yeh kia sanam k aaj ki raat to kat,ti hi nahi
Sochta hoon k ratoon ko guzaaroon kaisay
K chaand k kaan main dil ki baat keh doon
Tere intzaar ka iztraab keh doon
Ya tere hontoon pe hont rakh k
Dukhoon k sare hisaab keh doon
Tu nahi pass to kia hua tere ihsaas to hai
Mere maola tere shukkar TANHAI ka libaas to hai
Tu agar mere paas hoti to yoon karta
Teri bahoon main meri jaan raha karta
Jee bhar k aaj main tum se mohabbat karta
Teri aankhoon main wafa ban k main raha karta
Aaj ki raat agar mere paas hotay to.....
Chalay aao mere paas chalay aao zara
Aaj ki raat bohat paas chalay aao zara
K kisi tor kisi tor to yeh raat kattay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment