Aao Janch Laitey Hain

Aao janch laitey hain dard ke trazo per,
Kis ka gham kahan tak hai,
Shidtain kahan tak hain,
Kuch aziz logon se pochna to parta hai,
Aaj kal mohabat ki keematein kahan tak hain,
Ek shaam aa jao khul ke hal-e-dil keh lein,
Koun jane sanson ki mohltain kahan tak hain.

No comments:

Post a Comment