Ajnabi Raah Tanha Nagar

Ajnabi raah tanha nagar day gaya mujhe
Pathar ka shehar shishay ka ghar day gaya mujhe

Wo bhe mujh ko sochta rehta hay raat bhar
Us k nagar ka chand khabar day gaya mujhe

Muhabatain kitne shadeed thin...
Khud mit gaya or apni nazar day gya mujhe

Wo qafilay ko chor k tanha hi chal diya
Or jatay huway rakt-e-safar day gaya mujhe

Jany wo,"Bewafa" tha ya Majboor tha WASI
Bus zindagi Guzarnay ka hunar day gaya mujhe