Ek shakhs ne uss ko chaha tha
Woh zaat bhi uss ko yaad nahi
Jab shab ko bejli chamki thi
Aur baadal toot ke barsa tha
Hum duno jis mein bheegay thay
Woh barsat bhi uss ko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
Aur wada sath nibhane ka
Aur shab bhar chaand ko dekha tha
Woh raat bhi uss ko yaad nahi
Wo kehta tha main sunti thi
Main kehti thi woh sunta tha
Unn lakhon baaton mein
Koi...
Eik baat bhi uss ko yaad nahi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment