Har Qadam Mein Teri Hi Aahat

Har Qadam mein teri hi aahat sunaai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
Ke rat bhar khwaabo mein ab tu hi dikhaai deti hai

Khil khilahat se teri khilta tha yoon jo ghar
Khaamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai

Jhoothi khushi se rokta hu saaki main apna gham
Tanhaai aa aa kar mujhe sachhi rulaai deti hai

Kahte hain kaaynaat me rangi hai har ek shai
Tere bin kaaynaat par feeki dikhaayi deti hai

Ret ke maanind fisla ja raha hai waqt
Ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai

Chalte-chalte raah pe ab bahakte hain kadam
Hawa ke jhonko me tu hansti sunai deti hai

Mahfil-o-masti me tujhe ja ke kya dhundhe hum
Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai

Har Kadam me teri hi aahat sunai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
Ke rat bhar khwabo me ab tu hi dikhai deti hai

No comments:

Post a Comment