HUSSAIN (R.A)
Tujh per mera Salam ho Ek dasht e be gayah
Meri muhabbato ki Aqeedat Wasool kar
Aaya hun Riffato ki tamana liye huwe
Mera khaloos meri Duaain qabool kar
KARBALA
Ay Ajnabi Thehar mujay itni duaa na day
Pehli bhi meri khaak hai Nabiyo say sharmsaar
Meri Haado say juld Guzar ja ba'ahtiyat
Main Karabala hun meri tabahi say hoshyaar
HUSSAIN (R.A)
Tere Ujaar Pan Ka Mere Paas hai Elaaj
Tujh ko khabar nahi ke mai ESSA (as) ka naaz ho
Mai ny to bachpanay mai farishto ko parr diay
Apna maraz bata mai kaarsaaz hun
KARBALA
Meri Raggo mai Haanmpti Rehti Hai shab ko Mout
Din main meri fiza mai barasti hain bijliyan
Shaam o Sehar balaoo ka Imkan mai har taraf
Har soo bikhar rahi hain hawaoo mai hichkia
HUSSAIN (R.A)
Ay Nainwa uddas naa ho hosla na haar
Laya hoo tere waastay pegham e zindagi
Mai khud ujar ke Tujh ko basaoo ga iss tarah
Teri sehar banay gi meri shaam e zindagi
KARBALA
Mera ye mashwara hai musafir palat hi jaa
Shayad tujay khabar nahi mere junoon ki
Garmi se jaa ba lab hain tere kaaflay kay log
Laikin meri rago ko zaroorat hay khoon ki
HUSSAIN (R.A)
Dhoonday ga aasman teri zarro mai nikhatain
Tujh ko ata karoo gaa woh Poshak dekhna
Mere lahoo say tujh ko mile ga wo martaba
Khaak e shifa banay gi teri khaak dekhna
KARBALA
Dawa na kar ke mujh ko basana muhaal hay
Aisa koi jahaan may paida nahi hua
Har fard ko talash e musarrat hay dehar may
Koi tabahio ka to sheda nahi hua
HUSSAIN (R.A)
Mai woh hun jis ko sirf tabahi say pyaar hay
Mere hi dum say arz e tawalla banay gi tu
May iss tarah parhoo gaa yaha akhrii namaz
Tutbay may misl e arsh e muallah banay gi tu
KARBALA
Mumkin nahi kahin pay bhi yeh keemya gari
Jo farsh e berida ko koi taaj bakhsh dy
Aisa koi bashar nahi dekha jo iss tarah
Zarro ko choo ke arsh ki mairaaj bakhsh dy
HUSSAIN(R.A)
Ay khaak e besamar mera aijaaz dekhna
Ik baar mere saath zara muskura ke dekh
Zamin hun tujh ko khuld say barh kar sajaoo gaa
Ay khitta e udaas mujhay aazma ke dekh
KARBALA
Aaye thay log mujh ko basanay ke shoq mai
Ek pal mai sub ke sabar ke saagar chalak gaye
Tu taaza dum sahi magar itna khayaal kar
Meri udaasio se payghamber bhi thak gaye
HUSSAIN (R.A)
Wo log anbiya thay magar main imam hun
Mumkin nahi ke deed ke badlay shaneed lun
Tujh ko sanwarnay ki tamanna bhi zid bhi hai
Chal tay ye ho chuka hai ke tujh ko khareed lun
KARBALA
Mujh ko sanwarnay ki tamman hai gar to sun
itna lahoo to ho ke mai jis se sanwar sakun
Roz e Azal se hai meri qismat bujhi hui
Kia kuch hai tere paas mai jis se nikhar sakoo
HUSSAIN (R.A)
Laya hun apnay saath bahatar(72) dilo ka rang
Is k siwa nazar mai kaii or gurr bhi hain
Chay (6) mah ka sheer khuwar bhi humrah hai mere
Behno ki chadrain hain sakeena ke durr bhi hain
Muslim, HAbib, Joan se As'haab hai yahan
Jo mar bhi jaye or tujay aasra bhi dain
Laye gi woh bahaar yaha apnay khoon say
Dekhay tujay malak to falak say duaa bhi dain
KARBALA
Har chand la ilaaj hain meri uddasiyan
Laikin ye hosla ye mohabbat kamal hay
Nuskhay sabhi durust sahi khawahishain baja
May kia karoo kay tu koi ZEHRA ka laal hay
HUSSAIN (R.A)
Aahista bol itni daleelay naa dy mujhy
Gustakhiya na kar k shah e Mashreqain hun
Ly ab laga raha hoo teri khaak per Qayaam
Itna bharak rahi hay to sun may HUSSAIN (R.A) hun
Ilike it
ReplyDelete