Sar-e-Sham phir usi aag main jalny lagty hain hum bikhray hoay log,
Phir se unhi musaafton pe chalny lagty hain hum bikhray hoay log,
La-Hasil hay zeesat kay us safar main palat kar jana shaid,
Wahn kuch yadain samayat kar siskny lagty hain hum bikhray hoay log,
Qaid kar leta hay waqt apny darchion main hamian sehar hony tak,
Is Aseeri se rehai ho to sulagny lagty hain hum bikhray hoay log,
Mazbooat bana deti hay har sehar sochon ko hamari,
Jaysy he shab ho manind-e-Mom Pighlny lagty hain hum bikhray hoay log,
Kabhi wo loat aain jin ke liay chokhat pe bethy hain hum sadion se,
Is aas main dard ke aghosh main utarny lagty hain hum bikhray hoay log.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment