Ik Deya Dil Main Jalana Bhe

Ik deya dil main jalana bhe bujha bhe daina
Yad karna bhe usay roz bula bhe daina

Kya kahoun ye meri chahat hay k nafrat us ki?
Naam likhna bhe mera likh k mita bhe daina

Phir na milne ko bicharta tu houn tujh se lekin
Murh k daikhoun tu paltne ki dua bhe daina

Khat bhe likhna usay mayous bhe rehna us se
Jurm karna bhe magr khud ko saza bhe daina

Mujh ko rasmoun ka taklaf bhe gawara lekin
Je ma aye tu ye dewaar giraa bhe daina

Us se mansoob bhe kar laina puranay qissay
Us k baloun ma neya phool sajjaa bhe daina

Surat-a-naqsh-a-kadum dasht ma rehna Mohsin
Apnay honay se na honay ka pata bhe daina...

No comments:

Post a Comment