Ik Patta, Ik Jogi

Ik patta, ik jogi
Patta kaanpa
Daal say toota
Jogi ki jholi main gira
Aiy jogi tu koun?
Kis jungle say aaya hai tu?
Kis basti ka jaya hai tu?
Pat'tay main kia daikha tu nay?
Pat'tay ko kiun chooma tu nay?
Kiun isko seenay say lagaya?
Kiun yeh tairi goud main aaya?
Nagri nagri ghoomnay walay
Aiy jogi------ tu koun??


Aiy pattay, aiy kanptay pattay
Kiun yeh jogi, ramta jogi
Jis ki apni duniya hogi
Sapnoon main khoya, matwala
Bar main kafni, kaan main baala
Bastioon say bachta, katrata
Veeranoon main alkh jagata
Is ujri bagiya main aaya
Jis bagiya main dhoop na saaya
Koi purani peet nibahay?
Kiun yeh ik tujhi ko chahay?
Aiy pattay----- tu koun?


Na apnay ko patta janay
Na khud ko jogi pehchanay
Donoon pyasay, donoon hanpain
Ik doojay ki goud main kanpain
Donoon ik doojay main samaiy
Kis say poochain, koun bataiy?
Aiy pattay tu koun?
Aiy jogi tu koun?

No comments:

Post a Comment