Jab yaad ka qissa kholoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain
Main guzre pal jo sauchoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Ab jaane kaunsi nagri mein, abaad hain ja kar muddat se
Main raat gaye tak jaagoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Kuch baatein thein phoolon jaisi, kuch lehje khushboo jaise thay
Main shehre chaman mein tehloun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Woh pal bhar ki naaraazgiyan,aur maan bhi jaana pal bhar mein
Ab khud se jab bhi roothoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

https://www.youtube.com/watch?v=KNOpw7iy0Xo
ReplyDeletethe song based on this poem