Kaun Kahta Hai Wo Mere Bagair

Kaun kahta hai wo mere bagair tanha hoga,
Wo ek chiraag hai kahi aur jalta hoga,



Wo to rahta hai mohabbato ke desh me,
Use kya khabar use koi sochta hoga,



Wo mere dard se be-khabar nahi tha magar,
Use dukh batane ka na saleeka hoga,



Itna nadaan nahi ke samajh bhi na sake humko,
Usi ka tazkara meri har gazal me huva hoga,



Banaya gaya tha hume khuloos ki mitti se,
Hume khabar na thi wo badguman hoga,



Maine use chaha to chahta hi gaya,
Meri shiddato se ghabra ke wo chal diya hoga

No comments:

Post a Comment