Khizan Kay Mousam Sey Gulaab

Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
Phir apney liye koi azab maang raha hai


Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
Magar woh mujh se mere khawab maang raha hai


Ata kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
Aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai


Khataien karna hi raha mashghala uss ka
Mein kiya doon sila ussey woh sawab maang raha hai


Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
Aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai


Mujh ko apney wajood pe bhi dastaras nahi hasil
Aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai


Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
Kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai

No comments:

Post a Comment