Lagi Neend Jab Thap’thapane Mujhe

Lagi neend jab thap’thapane mujhe
Teri yaad aayi rulane mujhe

Hareefon se keh do k tanha Hun mai
Chale aayen ab aazmane mujhe !

Ragoun me lahu khaolta hi nahi,
Ye kya ho gaya ab na jaane mujhe !

To kya waqayee kho gayE HuM kahin
Mera saya nikla hai paane mujhe !

Mai sadiyon purani katha Hun koi,
Bhula de tu ab e zamane mujhe

Jo bujhne laga hun NAAZ mai ka
Jalaya hai maoj e hawa ne mujhe !!!!

No comments:

Post a Comment