Main aj ataraf karta hon
Shikast qabool hay mujh ko
Wo Rahguzar, wo rasty
Jin par sadioon safar kia hm nay
wohi rasty,
Jahan abhi bhe kuch naqsh baqi hain
Jahan se hath chooty thay
Jahan se maan tooty thay
Inhi gumnan rahoon par chal kar
Main wapis loot jaon ga
Magr thori se muhlat do
Kitab-e-muhabbat k chand awraaq
Jin ka ek ek harf
Laho se naqsh hay meri
Jo hasil hain zindgi ka meri
Jo asaasa hain meri umar bhar ka
Na smayat paaon ab kabhi
Chalo ek kaam tum karna
is la-hasil dastan ko tum bhula dena
Apny hathon se in kagaz k tukroon ko jala dena
Mujhy ab wapis palatna hay
Jahan udaasain muntaziar hain meri
Main aaj ataraf karta hon
Shikast qabool hay mujh ko
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment