Mana Teri Nazar Me Tera Pyar

Mana teri nazar me tera pyar hum nai
Kaise kahe k tere talabgaar hum nai


Khud ko jala k khaq kar dala,mita diya
Lo ab tumhari rah me deewar hum nai


Jis ko sanwara humne tamanaao k khoon se
Gulsan me us bahar k haqdaar hum nai


Dhoka diya ha khud ko mohabbat k naam se
Kaise kahe k tere gunahgaar hum nai

No comments:

Post a Comment