Mein Khayal Hoon Kisi Aor Ka

Mein Khayal hoon kisi aor ka muje sochta koi aor hai
Sar-e-Aena mera aks hai pas-e- aina koi aor hai

Min kisi ke dast-e-talab mein hoon to kisi ke harf-e-duwa mein hoon
Mein naseeb hoon kisi aor ka muje mangta koi aor hai

Ajab aitbaar-o be atibari ke darmian hai zindagi
Mein kareeb hoon kisi aor ke muje janta koi aor hai

Meri roshni tere khad-o-khal se mukhtalif to nai magar
Too kareeb aa tumje dekh loon to wo hi hai yah koi aor hai

Tuje dushmanoon ki khabar na thi muje dostoon ka pata nahi
Teri dastaan koi aor bhi mera wakia koi aor hai

Wohi musafoon ki rawayatein wohi faisaloon ki ibartein
Mera jurm to koi aor tha per meri sazaa koi aor hai

Kabhi laot aaein to poochna nahi dekhna onhein gaor se
Jinhein raaste mein khabar hoi ke yeh raasta koi aor hai

Jo meri riazt-e-neem shab ko Saleem subhu na mil saki
To is ke maine to yeh huwe ke yaha khuda koi hai

No comments:

Post a Comment