Meri Aankhon k Weeran

Meri aankhon k weeran saahilon par
In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se
Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai
Sanam tum ko ijazat hai....
Meray mann k iss ujday say bayaba'n main
Gulo'n ko phir khilanay ki
Faqat tum ko ijazat hai...
K apni khwaab raato'n main
Meray sapnay sajanay ki
Meri neendain churanay ki
Ya phir shehr-e-tamanna main
Adhori aarzoo ki ....
Koi unmit yaad bunnay ki..
Faqat tum ko ijazat hai
K jab bhi khwahisho'n ka koi raila
Tumhary iss khudi aur iss ana ko
Baha k phir meri aankhon main lay aaye
Ya phir...
Sawan ki koi ik jhadi ban kar...
Meray sookhay huay mann main...
Baras kar saaz ban jaye,
Tou phir itny guzarish hai...
K tum waapis nahin jana,
Meri inn ankhon main ya ...
Iss dil main kahin tum...
Phir apni yaad k is ghar main reh laina
Magar waapis nahin jana
K bin teray kahin ankhain ye meri
In ashko'n k samandar main...
Kahin nah gharq hojayen.
Ye mera dil...
Jo barson say...
Tumhary aas k badal ki khwahish main...
Adhoori aarzoo ki dhoop sehta hai...
Kahin banjar na hojaye
Tou bas tum ko ijazat hai...
K jab bhi lautna chaho...
Tou phir...
Meri ankhon main ya...
Iss dil main kahin bhi...
Jo ik pyaara sa ghar hai...
Usi main aa k reh jana
Magar waapis nahin jana
Tou bas phir laut anay ki
Kahin waapis na janay ki
Sanam tum ko ijazat hai...
Faqat tum ko ijazat hai!!!

No comments:

Post a Comment