Raat Aadhi Kheench Kar

Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne

Faasla tha kuchh humare bistaron me
Aur charon or duniya so rahi thi
Tarikayen hi gagan ki janti hain
Jo dasha dil ki tumhare ho rahi thi
Main tumhare paas hokar door tumse
Adhjaga sa aur adhsoya hua sa
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne

Ek bijli chhu gayi, sahsa jaga main
Krishnapakshi chaand nikla tha gagan me
Is tarah karwat padi thi tum ki aansoo
Bah rahe the is nayan se us nayan me
Main laga doon aag us sansaar me
Hai pyar jisme is tarah asamarth-kaatar
Jaanti ho us samay kya kar guzarne ke liye
Tha kar diya taiyyaar tumne!
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne

Praath he ki oar ko hai raat chalthi
Auh ujaale mein andhera doob jaata
Manch he poora badaltha kaun aisa
koobiyon ke saath parde ko uttatha
Ek chehra sa laga thumne liya tha
Aur meine tha utharaa ek chehra
Wo nisha ka swapn mera tha ke apne
Par gazab ka tha kiya adhikaar thumne
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne

Aur utne faasle par aaj tak
Sau yatna kar ke bhi na aye fir kabhi hum
Phir na aya waqt waisa, fir na mauka us tarah ka
Phir na lauta chaand nirmam
Aur apni wedna main kya bataun!
Kya nahi ye panktiyan khud bolti hain?
Bujh nahi paya abhi tak us samay jo
Rakh diya tha haath par angaar tumne
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne

No comments:

Post a Comment