Raat Kii Be-Sukhan Khamoshi Main

Raat kii be-sukhan khamoshi main
Ro raha hoon keh so nahin saktaa
Raahton kay mehal banataa hai
Dil jo aabaad ho nahin saktaa


Door shamma-e-khyaal kii maanind
Shamma vaadii kii jhil-milaatii hai
Yaas kay be-qaran andhairon main
Aik umeed muskuraatii hai


Door parbat kay paas char-wahaa
Kho gyaa gham-fazaa taraanon main
Bain kartii hai rooh-e-zakhm aalood
Baansurii ki naheef taanon main


Teray jaanay kaa gham bhulataa hoon
Teray aanay kii yaad aatii hai
Haaye iss be-basii kay aalam main
Kis zamanay kii yaad aatii hai


Shab ko viiraan rah-guzaron say
Sir jhukaaye howay guzartaa hoon
Qeh-qahon main qaraar khoyaa thaa
Aansooun main talaash kartaa hoon

No comments:

Post a Comment