Rah Ho Gai He Gum

Rah ho gai he gum rasta nazar nahi ata
Kia howa he waha pe kuch khabar nahi pata


Koi waha se batai ke kio ye rasta band howa he
Koi kaam kia unko na pasnd howa he


Kahi gunha gaar ki saza ka iyrada to nahi
Kahi mera koi gunha itna ziada to nahi


Kahi meri deri pe wo naraz to nahi
Kahi mere likhe pe unko eteraz to nahi


Bas jo bhi ho to aap ana to batana
Haqiqat kia he us se parda zara hatana

No comments:

Post a Comment