Tere Bina Ek Pal Bhi Jea Nahi Sakta,

Tere bina ek pal bhi jee nahi sakta
Marna chahu bhi to mar nahi sakta


Tere sath jeene ka wada kiya hai maine
Iss pyare se wade se main mukar nahi sakta

Mana ki mulaqat me tamam mushkilein ayengi
Phir bhi tujhse mile bina main reh nai sakta

Tujhe qasam hai meri mera sath nibhana har mod per
Tujhse bichad ke ek kadam bhi main chal nai sakta

No comments:

Post a Comment