Tujhey Dhondhti Rahi Chashm-E-Tar

Tujhey dhondhti rahi chashm-e-tar,
Tera naam wird-e-zuban raha,
Na harm ka mujko khayal tha,
Na sanam kadey ka guman raha,
Teri chashm-e-naz ka mekada,
Mujhey be-nayaz sa kr gya,
Na shaor-e-kon-o-makan raha,
Na khayal-e-sood-o-zayan raha,
Krray waqt mein jo main ghir gya,
Teri yad he bani mojza,
Shab-e-hijer mein bhi ay Jan-e-Jan!
Teri qurbaton ka samaan raha,
Mujhey zindagi se b pyar tha,
Mujhey ishq se b thi aqeedtain,
Go boht kathan thay ye rastay,
Tera sath tha, main rawan raha,
Tu bichhar gya,Mein bikhar gya,
Usi morh per mein kharha rha.

No comments:

Post a Comment