Tum ne
Mujh se mujhe juda ker k
Sheesha-e-dil ko aaina ker k
Aks is mein utaar ker apna
Rukh diya bhooli basri cheezo`n mein
Waqt ki adh-khuli darazo`n mien
Kisi be-naam se guma`n k pas
Ik adhoori si dasta`n k pas
Jis jaga
Gum-shuda khato`n mien chupay
Aansou`n ki tarah chamaktay hoay
Yaad k be-shumaar jugno` hain
Dard k be-hisaab pehlu hain
Khush pholo`n ki patiyon mein kahin
Kisi barsaat ki nami hai jahan
Zindagi ki boht kami hai jahan
Looti chori k saath rakhi hoi
Ik december ki shaam k hamrah
Kuch khizaan k bhi din paray hain kahi
Khwaab ki dhajeeyo se liptay hoay
Chaand raatoon k silsilay hain kahi
Aur kuch ahed wafa na hoay
Qarz sansoon k
Jo ada na hoay
Itni cheezoon k beech rakha howa hai
Aaina toot bhi tu sakta hai
Bach bhi jaye tu
Aainay pe pari
Sainkaron dil-zada kharashon mein
Koi soorat kahan ubharti hai
Sans ka kia hai
Chalti hi rehti hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment