Tumhare Bheegti Palkoon Se

Tumhare bheegti palkoon se main ne barra poocha
Ke dil ke khel main kya jeetne wale bhi rote hain
Wo jin ke cham-e-khurdbeen ooroon ko dekha bhi nahin kerte
Bhala kis dil se gum ki tar main moti prote hein

Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
Ke kya maanend shesha patheroon per baal ata hai
Aser angeez hai ab bhi mohabbat ka wohi jazba
Jo ase hooshmandoon ko bhi yoon pagel banata hai

Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
Mezaj-e- hus-ne-yaar main yak ba yak kya inkelab aya
Sitara dekhna or dekh ker afsorda hogaya
Bohot takher se tum ko sitaroon kaa hisab aya

Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
Ke tark-e-rabt per kya mujh se wahsee yaad ate hain?
Taluq torrna asan tha to phir!aankh kyun naam hai.
Ana perver jafa pesha bhi yoon aansoo bahate hain?

Tumhare bheete palkoon se main ne barra poocha
Ki jalne or jalane main bhala kya luttuf ata hai?
Bus ak jhote ana ke waste berbad hojana
Khude ke zaem main insan kitne dukh uthata hai?

No comments:

Post a Comment