Tumhein apna adhoora khwaab likhna hai
Toa tumko jan'na hoga
K har rasta bohat asaan nahin hota
Bohat hein manzilein aisi
K jin se waapsi ka koi bhi imkaan nahin hota
Koi ik raat aisi hai k jismein subh ka taara nahin hota
Bohat si arzooein...khwab hotay hein
Magar bas arzoo'on par guzara bhi nahin hota
Tumhein ye janna hoga
K jo mehboob ho jitna
HUMARA bhi nahin hota !
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment