In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Hote rahe hum ruswa, har mor par hai charcha mera
Hum vafa kar ke bhi badnaam, unke sir zafa ka sehra
Hain aaj zakhmi, dil pashemaa.n, ye waqt kabhi to jaye badal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Tamanna hai teri, sitam dhao ya fer lo nazren humse
Roshan hai teri mehfil, aaj bhi mere hi dum se
Har shaakh pe hai baitha qaatil, armanon ka na ho jaye qatal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Teri bewafaii ka daag, ab na uthaya jaye hai mujhse
Na marna hi munasib, na aur jeeya jaye hai mujhse
Ab chahe tadpao hume, tarsao hume, ya kar do hume qatal
Jab tootega dil kisi ka, sunai degi har aah me meri hi ghazal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment