Marsiya (Meer Anees)

Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne
Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne


Dekha suwe falaq Shahe gardoon rakaab ne
Mur kar sada rafeeqo ko di us janaab ne


Aakhir hai raat hamd o sanaye Khuda karo
Utho fareezaye sahri ko ada karo


Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka
Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka


Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka
Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka


Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey
Raatein tarrap ke kaati hai is din ke waastey


Ye sunke bistaron se uthe wo Khuda shinaas
Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas


Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas
Baandhe amame aaye imame zaman ke paas


Rangeen abaayein dosh pe kamrain kasey huwe
Muskh o zibaad o itr mein kaprre basey huwe


Khaime se nikle Shay ke azeezaane khush khisaal
Jin mein kayi thay Hazrate Khairun nisa ke laal


Qasim sa gul badan Ali Akbar sa khush jamaal
Ek jaa Aqeel o Muslim o Jafar ke nau nihaal


Sab ke rukhon ka noor sipahre bareen pa tha
Athara aaftaabon ka ghuncha zameen pa tha


Nagaah charkh par khate abyaz huwa ayaan
Tashreef jaanemaaz pe laaye Shahe zamaan


Sajjade bich gaye aqabe Shahe ins o jaan
Saute Hasan se Akbar e Mahrooh ne di azaan


Har ek ki chashm aansuon se dab daba gayi
Goya sada Rasool ki kaano mein aagayi


Namoose Shaah rotey thay khaime mein zaar zaar
Chup ke kharri thi sahn mein bano e naamdaar


Zainab balayein leke ye kahti thi baar baar
Sadqe namaziyoon ke muazzin ke main nisaar


Karte hain yoon sana o sifat Zul Jalaal ki
Logon azaan suno meri yousuf jamaal ki


Ye husn e saut aur ye qirat ye shad o madd
Haqqa ke afsahul fusuha thay inhi ke jadd


Goya hai lahn e Hazrat e Dawoode ba khiradd
Ya Rabb rakh is sada ko zamane mein taa abad


Shube sada mein pankhadiyaan jaise phool mein
Bul bul chahak raha hai riyaaz e Rasool mein


Saf mein huwa jo naraye qad qaamatis salaat
Qaim huwi namaaz uthey Shahe qainaat


Wo noor ki safein wo musalli falak sifaat
Sardaar ke qadam ke taley thi rahe nijaat


Jalwa tha taba arshe mualla Hussain ka
Mushaf ki lauh thi ke musalla Hussain ka


Quraan khula huwa ke jamaat ki thi namaaz
Bismillah aagey jaise ho yoon thay Shahe hijaaz


Satrein thi ya safein aqab e Shahe sarfaraaz
Karti thi khud namaaz bhi inki adaa pe naaz


Sadqe sahar bayaaz pe bainas sutoor ki
Sab aayatein thi mushafe naatikh ki noor ki


Dunya se uth gaya wo qayaam aur wo qaood
Inke liye thi bandagi wajibul wujood


Wo ajz wo taweel ruku aur wo sujood
Taat mein neest jaantey thay apni hast o bood


Taqat na chalne phirne ki thi haath paon mein
Gir gir ke sajde karte thay taghoon ki chaon mein


Farigh huwe namaaz se jab qibla o anaam
Aaye musafahe ko jawaanan e tashnakaam


Chume kise ne dast e Shahinshaah e khaas o aam
Aakhein miley kisi ne qadam par ba ehteraam


Kya dil thay kya sipaah e rasheed o sayeed thi
Ba ham muanaqe thay ke marne ki eid thi


Jaari thi ilteja munajaat thi idhar
Waan sar kashi o zulm o taddi o shor o shar


Kahta tha ibne saad ye jaa jaa ke nahr par
Ghatoon se hoshiyaar tarayi se ba khabar


Do roz se hai tashna dahani Hussain ko
Haan martey dam bhi deejiyo na pani Hussain ko


Baithey thay jaanemaaz pe Shahe falak sareer
Nagaah qareeb aake girey teen chaar teer


Dekha har ek ne murr ke suwe lashkar e kaseer
Abbas uthey tol ke shamsheer be nazeer


Parwane thay siraaj e imamat ke noor par
Rokey sipar huzoor karamat zahoor par


Akbar se murr ke kahne lage Sarware zamaan
Baandhe hai sarkashi pa kamar lashkare giraan


Tum jaake kahdo khaime mein ye ay pidar ki jaan
Bachon ko leke sahn se hatt jaaye bibiyaan


Ghaflat mein teer se koi bacha talaf na ho
Darr hai mujhe ke gardane Asghar hadaf na ho


Kahte thay ye pisar se Shahe aasmaan sareer
Fizza pukari deordhi se ay khalq ke ameer


Hai hai Ali ki betiyaan kis jaa ho goshgeer
Asghar ke gahware tak aakar girey hain teer


Garmi se saari raat ye ghut ghut ke roye hain
Bachey abhi tou sard hawa paake soye hain


Baqir kahin parra hai Sakina kahin hai ghash
Garmi ki fasl ye tab o taab aur ye atash


Ro ro ke sogaye hain sagheerane maahwash
Bachon ko leke yaan se kahan jaaye faqa kash


Ye kis khata pe teer piya pe barastey hain
Thandi hawa ke waastey bachey tarastey hain


Uthey ye shor sunke Imame falaq viqaar
Deordhi tak aaye dhaloon ko roke rafiq o yaar


Farmaya murr ke chaltey hain ab bahre kaarzaar
Kamrain kasoo jihaad pe mangwao raahwaar


Dekhein fizaa behisht ki dil baagh baagh ho
Ummat ke kaam se kahin jaldi firaagh ho


Zainab ki ye dua thi ke ay Rabbe Zuljalaal
Bach jaaye is fasaad se khairun nisa ka laal


Bano e naik naam ki khaiti hari rahey
Sanndal se maang bachon se godi bhari rahey


Boley qareeb jaake Shahe aasmaan janaab
Muztar na ho duaen hain tum sab ki mustajaab


Maghroor hain khata pe ye sab khanuma kharaab
Khud jaake mein dikhata hoon inko rahe sawaab


Mauqa nahi bahan abhi faryaad o aah ka
Laao tabarrukaat Risaalat panaah ka


Meraaj mein Rasool ne pahna tha jo libaas
Kashti mein laayi Zainab usey Shahe deen ke paas


Sar par rakha amamae Sardare haq shinaas
Pahni qabaye paak Rasoole falaq asaas


Bar mei durust o chust tha jama Rasool ka
Rumaal Fatima ka amama Rasool ka


Kaprron se aarahi thi Rasoole zaman ki bu
Dulha ne sunghi hogi na aisi dulhan ki bu


Hyder ki Fatima ki Hussain o Hasan ki bu
Pheli huwi thi chaar taraf Panjetan ki bu


Lut ta tha itr waadi ambar sarisht mein
Gul jhumtey thay baagh mein Rizwaan behisht mein


Poshaak sab pahan chukey jis dam Shahe zaman
Lekar balaein bhai ki ronay lagi bahan


Kehti thi hai aaj nahi Hyder o Hasan
Amma kahan se laye tumhe ab ye be watan


Rukhsat hai ab Rasool ke yusuf jamaal ki
Sadqe gayi balein tou lo apne laal ki


Hathyaar idhar laga chuke Moula e khaas o aam
Tayyar udhar huwa alam e Sayyide anaam


Duaaein maangti gird thi saidaniyaan tamaam
Roti thi thaamey chobe alam khwahare imaam


Teghein kamar mei dosh pe shamley parrey huwe
Zainab ke laal zere alam aa kharre huwe


Gah maa ko dekhte thay kabhi jaanibe alam
Nara kabhi ye tha ke nisaar e Shahe umam


Karte thay dono bhai kabhi mashware baham
Aahista poochtey kabhi ma se wo zee hasham


Kya qasd hai Alliye wali ke nishaan ka
Amma kise milega alam nana jaan ka


In nanhe nanhe haathon se uthega ye alam
Chotey qadoon mein sabse sinoo mein sabho se kam


Nikle tanoo se sibte Nabi ke qadam pe dam
Ohda yahi hai bas yahi mansab yahi hasham


Rukhsat talab agar ho tou ye mera kaam hai
Maa sadqe jaaye aaj tou marne mein naam hai


Phir tum ko kya buzurg thay jo fakhre rozgaar
Zeba nahi hai wasf e izafi pe iftekhaar


Johar wo hai jo taegh karey aap aashkaar
Dikhlado aaj Hyder o Jafar ki kaarzaar


Tum kyon kaho ke laal Khuda ke wali ke hain
Faujein pukare khud ke nawase Ali ke hain


Ab jisko tum kaho usey dein fouj ka alam
Ki arz jo salaah Shahe aasmaan hasham


Farmaya jabse uthgayi Zahra e ba karam
Us din se tumko maa ki jagah jaantey hain hum


Malik ho tum buzurg koi ho ke khurd ho
Jisko kaho usi ko ye ohda sipard ho


Boli bahan ke aap bhi tou lein kisi ka naam
Hai kis taraf tawajjo e Sardar o khaas o aam


Gar mujhse poochtay hain Shahe aasmaan maqaam
Quran ke baad hai tou Ali hi ka kuch kalaam


Shaukat mein qadd mein shaan mein humsar nahi koi
Abbas e naamdaar se behtar nahi koi


Aashiq ghulaam khadim e dereena jaan nisaar
Farzand bhai zeenate pehlu wafa shiaar


Jarrar yaadgaar e pidar fakhre rozgaar
Rahat rasaa mutee o namudaar o naamdaar


Safdar hai sher dil hai bahadur hai naik hai
Bemisal sainkroon mein hazaroon mein aik hai


Aakhon mein ashk bhar ke ye boley Shahe zaman
Haan thi yahi Ali ki wasiyyat bhi ay bahan


Acha bulayein aap kidhar hai wo saff shikan
Akbar chacha ke paas gaye sun ke ye sukhan


Ki arz intezaar hai Shahe ghuyoor ko
Chaliye phuphi ne yaad kiya hai huzoor ko


Abbas aaye haathon ko jorre huzoor e Shah
Jao bahan ke paas ye bola wo deen panaah


Zainab wahin alam liye aayi ba izzo jaah
Boley nishaan ko leke Shahe arsh baargaah


Inki khushi wo hai jo riza Panjetan ki hai
Lo bhai lo alam ye inayat bahan ki hai


Munh karke suwe qabre Ali phir kiya khitaab
Zarre ko aaj kardiya Moula ne aaftaab


Ye arz khaaksaar ki hai Ya Abu Turaab
Aaqa ke aagey hoon mein shidat se bahreyaab


Sar tan se ibne Fatima ke ru baru girey
Shabbir ke paseene pe mera lahu girey


Ye sunke aayi zaojaye Abbas e naamwar
Shohar ki simt pehle kinkhiyoon se ki nazar


Lee sibte Mustafa ki balayein ba chashme tar
Zainab ke gird phir ke ye boli wo nauhagar


Faiz aap ka hai aur tasadduq Imaam ka
Izzat barhi kaneez ki rutba ghulaam ka


Sar ko laga ke chathi se Zainab ne ye kaha
Tu apni maang kookh se thandi rakhe sada


Ki arz mujhse laakh kaneezein hoon tou fida
Bano e naamwar ko suhaagan rakhe Khuda


Bachey jiye taraqqiy e iqbal o jaah ho
Saaye mein aap ke Ali Akbar ka byaah ho


Naagaah aakey bali Sakina ne ye kaha
Kaisa hai ye hujoom kidhar hai mere chacha


Ohda alam ka unko mubarak karey Khuda
Logoon mujhe balayein tou lene do ek zara


Shaukat Khuda barrhaye mere ammu jaan ki
Mein bhi tou dekhoon shaan Ali ke nishaan ki


Abbas muskura ke pukarey ka aao aao
Ammu nisaar pyaas se kya haal hai batao


Boli lipat ke wo ke meri mashq lete jaao
Ab tou alam mila tumhein pani mujhe pilaao


Tohfa na koi deejiye na inaam deejiye
Qurbaan jaaon pani ka ek jaam deejiye


Nagaah badhey alam liye Abbas e ba wafa
dauRe sab Ahle Bayt khule sAr, barahna pa


Hazrat ne haath utha ke ye ik eik se kaha
Lo Alwida ay haram e paak e Mustafa


Subhe shab e firaaq hai pyaaron ko dekh lo
Sab mil ki doobte huwe taaron ko dekh lo


Shay ke qadam pe Zainab e zaar o hazeen giri
Bano pachaad kha ke pisar ke kareen giri


Kulsoom thar thara ke baruhe zameen giri
Baqir kahin gira tou Sakina kaheen giri


Ujda chaman har ek gul taza nikal gaya
Nikla alam ke ghar se janaza nikal gaya


Nagaah udhar se teer chale janibe Imaam
Ghoda bada ke aap ne hujjat bhi ki tamaam


Nikle idhar se Shah ke rafiqaan e tashnakaam
Be sar huwe paroon mein saraan e sipaah e shaam


Bala kabhi thi taegh kabhi zer e tang thi
Ek ek ki jang maalik e ashtar ki jang thi


Allah re Ali ke nawasoon ki kaarzaar
Dono ke nichey thay ke chalti thi zulfiqaar


Shana kata kisi ne jo roka sipar pe waar
Ginti thi zakhmiyoon ki na kishtoon ka tha shumaar


Utney sawaar qatl kiye thorri daer mein
Dono ke ghodey chup gaye laasho ke dhaer mein


Kis husn se Hasan ka jawane haseen lada
Ghir ghir ke surate asad e khushmgeen lada


Do din ki bhook pyaas mein wo mahjabeen lada
Sahra ulat ke yoon koi dulha nahi lada


Hamle dikha diye asad e kirdgaar ke
Maqtal mein sooye arzak e shaami ko maar ke


Chamki jo taegh Hazrate Abbas e arsh jaah
Roohul ameen pukarey ke Allah ki panaah


Dhaloon mein chup gaya pisar e saad ru siyaah
Kushtoon se band ho gayi aman o amaan ki raah


Jhapta jo sher shoakh mein darya ki sair ke
Le li tarayi taeghon ki moujoon ko phair ke


Be sar huwe muwakkil e sar chashma e furaat
Hal chal mein misl e mouj safoon ko na tha sabaat


Darya mein girke fout huwe kitne bad sifaat
Goya habaab hogaye thay nuqta e hayaat


Abbas bhar ke mashk ko yoon tashnalab laday
Jis tarah naharwaan mein ameer e arab laday


Aafat thi harb o zarb e Ali Akbar e diler
Ghusse mein jhapte ser pe jaise garsina sher


Sab sar buland past zabardast sab thay zer
Jangal mein chaar simt huwe zakhmiyoon ke dher


Siraan ke utre tan se jo thay rann charrhey huwe
Abbas se bhi jang mein kuch thay barrhey huwe


Talwaarein barsi subh se nusfun nihaar tak
Hilti rahi zameen laraztey rahey falak


Kaampa kiye paroon ko simte huwe malak
Narey na phir wo thay na wo taeghon ki thi chamak


Dhaalon ka daur barchiyoon ka auj ho gaya
Hangaam e zuhr khatema e fauj ho gaya


Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye
Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye


Dushman ko bhi na dost ki furqat Khuda dikhaye
Farmatey thay bicharr gaye sab hum se hai haye


Itney pahaad gir padey jis par wo kham na ho
Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho


Kham hogaye ye daagh uthake Imame deen
Jhuk kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen


Yoon dard mein tarrap ke kiya nalaye hazeen
Hilne lage pahaad larazne lagi zameen


Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki
Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki


Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein
Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein


Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein
Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein


Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye
Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye


Jis waqt aamad aamade saif e Khuda huwi
Hal chal parri har ek ke dar pe qaza huwi


Nabood zindagi huwi hasti fana huwi
Himmat dilon ke jism se quwwat juda huwi


Labrez hokey umr ke saagar chhalak gaye
Kaampi zameen pahaarr jagah se sarak gaye


Maidaan mein jab riyaaze Hussaini khizaan huwa
Dunya se kaarwaan Shahe deen ka rawaan huwa


Darya e khoon mein gharq har ek naujawaan huwa
Hamshakle Mustafa bhi shaheedey sinaan huwa


Rotey thay Shah lasho mein tanha kharre huwe
Thay khaak par kaleje ke tukrre parry huwe


Garmi ka roz jang ki kyon kar karoon bayaan
Darr hai ke misl e shama na jalne lage zabaan


Wo loo ke al hazar wo hararath ke al amaan
Rann ki zameen tou surkh thi aur zard aasmaan


Aab e khunukh ko khalq tarasti thi khaak par
Goya hawa se aag barasti thi khaak par


Wo loo wo aaftaab ki hiddat wo taab o tab
Kala tha rang dhoop se din ka misaal e shab


Khud nahr e alqama ke bhi sukhey huwe thay lab
Khaime jo thay hibaabon ke tap te thay sab ke sab


Urrhti thi khaak khushk tha chashma hayaat ka
Khoula huwa tha dhoop se pani furaat ka


Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam
Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam


Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam
Patthar bhi sab pigal gaye thay misl e moum khaam


Surkhi urrhi thi phoolon se sabzi gayaah se
Pani kuwein mein utra tha saaye ki chaah se


koson kisi shajar mein na gul the na barg o baar
Ek ek nakhal jal rahaa thaa suurat e chinaar


Hansta thaa koi gul na lahakataa thaa sabzaraar
kaanta hui thi suukh ke har shaakh e baar daar


Garmi ye thi ki zeest se dil sab ke sard the
Patte bhi masle e chehara e madquuq zard the


Girdaab par thaa shola e javaala kaa gumaan
Angaare the habaab to paani sharar fishaan


Muunh se nikal parhi thi har ek mauj ki zabaan
Tah par the sab nihang magar thi labon pe jaan


Paani tha aag garmi e roz hisaab thi
Maahi jo seekh e mauj tak aayi kabaab thi


Aainaa e falak ko na thi taab o tab ki taab
Chhipane ko barq chaahati thi daaman e sahaab


Sab ke sivaa thaa garm mizaajon ko iztiraab
kaafuur e subah Dhundhta phirtaa tha aaftaab


Bharrki thi aag gumbad e charkh e asiir mein
Baadal chhipe thhe sab kurrah e zamharir mein


Sher uthte thay na dhoop ke maarey kachaad se
Aahu na munh nikaalte thay sabz zaar se


Aaina mahr ka tha mukaddar ghubaar se
Gardoon ko tap charri thi zameen ke bukhaar se


Garmi se muztarib tha zamana zameen par
Bhun jata tha jo girta tha dana zameen par


Aabe rawaan se munh na uthate thay jaanwar
Jangal mein chalty phirtey thay tair idhar udhar


Mardam thay saath pardon ke andar araq mein tar
Jis khana e mizaa se nikalti na thi nazar


Gar chashm se nikal ke thahar jaaye raah mein
Parh jaaye laakh aabley paaye nigaah mein


Is dhoop mein khade thay akayle Shahe umam
Na daaman e Rasool tha na saaya e alam


Ourri thi lab zabaan mein kaante kamar mein kham
Sholay jigar se aah ke uthti thi dam badam


Be aab teesra tha jo din mehmaan ko
Hoti thi baat baat mein miknat zabaan ko


Kahta tha ibne saad ke ay aasmaan janaab
Bayyat jo keejiye ab bhi tou haazir hai jaame aab


Farmatey thay Hussain ke ay khanuma kharaab
Darya ko khaak jaanta hai ibne Bu Turaab


Faasiq hai paas kuch tujhe Islam ka nahi
Aab e taba ho ye tou mere kaam ka nahi


Garjum ka naam loon tou abhi jaam leke aaye
Kausar yaheen Rasool ka ehkaam leke aaye


Roohul ameen zameen pa mera naam leke aaye
Lashkar malak ka fatah ka paighaam leke aaye


Chahoon jo inqilaab tou dunya tamaam ho
Ulte zameen yoon ke na koofa na shaam ho


Farmake ye nigaah jo ki suwwe zulfiqaar
Tharrake pichley paaon hata wo sitam shiaar


Mazloom par safoon se chaley teer beshumaar
Awaaz e kous harb huwi aasmaan ke paar


Naize uthake jang par aswaar tul gaye
Kaaley nishaan sipaah e saeron mein khul gaye


Jab rann mein taegh toul ke Sultaan e deen barrhey
Geethi ke thaam lene ko roohul ameen barrhey


Manind sher e haq kahin tahre kahin barrhey
Goya Ali ulat te huwe aasteen barrhey


Jalwa diya jari ne uroose musaaf ko
Mushkil kusha ki taegh ne chorra ghilaaf ko


Allah re taezi o barsh is shola rang ki
Chamki sawaar par tou khabar laayi tang ki


Pyasi faqat lahu ki talabgaar jang ki
Hajat usey na saan ki thi aur na sang ki


Khoon se falak ko laashon se maqtal ko bharti thi
Sou baar dam mein charkh pe chadhti utarti thi


Seene pe chal gayi tou kaleja lahu huwa
Goya jigar mein maut ka nakhan faru huwa


Chamki tou al amaan ka ghul chaar su huwa
Jo iske munh pa aagaya be aabru huwa


Rukta tha ek waar na das se na paanch se
Chehre siyaah hogaye thay is ki aanch se


Bichh bichh gayeen safon pe safein wo jahaan chali
Chamki tou is taraf idhar aayi wahaan chali


Dono taraf ki fouj pukari kahaan chali
Is ne kaha idhar wo pukara yahaan chali


Munh kis taraf hai taegh zanon ko khabar na thi
Sar gir rahe thay aur tanon ko khabar na thi


Allah re khauf taegh e Shahe kainaat ka
Zehr ah tha aab khauf ke maarey furaat ka


Darya mein haal ye tha har ek bad sifaat ka
Chara faraar ka tha na yaara sabaat ka


Ghul tha ke barq girti hai har dara posh par
Bhago Khuda ke kahr ka darya hai josh par


Har chand machliyaan thi zira posh sar basar
Munh kholey chipti phirti thi lekin idhar udhar


Bhagi thi mauj chorr ke girdaab ki sipar
Thay tah nasheen nahang ubhartey na thay magar


Darya na tham ta khauf se is barq o taab ke
Lekin padey thay paaon mein chhaley hubaab ke


Phir tou ye ghul huwa ke duhayi Hussain ki
Allah ka ghazab hai larrayi Hussain ki


Darya Hussain ka hai tarayi Hussain ki
Dunya Hussain ki hai Khudayi Hussain ki


Beda bachaya aap ne toofan se Nooh ka
Ab rahm waasta Ali Akbar ki rooh ka


Akbar ka naam sunke jigar par lagi sinaa
Aansoo bhar aaye rok li rahwaar ki inaa


Murr kar pukarey laashe pisar ko Shahe zamaa
Tum ne na dekhi jang meri ay pidar ki jaa


Qasmein tumhari rooh ki ye log dete hain
Lo ab tou zulfiqaar ko hum rok dete hain


Aayi nidaye ghaib ke Shabbeer marhaba
Is haath ke liye thi ye shamsheer marhaba


Ye aabru ye jang ye tauqeer marhaba
Dikhlaadi maa ke doodh ki taaseer marhaba


Ghalib kiya Khuda ne tujhe kainaat par
Bas khatima jihaad ka hai teri zaat par


Bas ab na kar wigha ki hawas ay Hussain bas
Dam le hawa mein chand nafas ay Hussain bas


Garmi se haampta hai faras ay Hussain bas
Waqte namaz e asr hai bas ay Hussain bas


Pyasa larra nahi koi yoon isdehaam mein
Ab ehtemaam chahiye ummat ke kaam mein


Labbaik kahke taegh rakhi Shay ne miyaan mein
Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein


Phir sarkasho ne teer milaye kamaan mein
Phir khul gaye lipat ke pharere nishaan mein


Bekas Hussain zulm shiaroon mein ghir gaye
Moula tumharey laakh sawaroon mein ghir gaye


Seene pe saamne se chaley das hazaar teer
Chaati pe lag gaye kayi sou ek baar teer


Pahlu ke paar barchiyaan seene ke paar teer
Parrtey thay das jo khainchte thay tan se chaar teer


Yoon thay khudang Zille Ilahi ke jism par
Jis tarha khaar hoti hai sahi ke jism par


Chaltey thay chaar simt se bhaley Hussain par
Toote huwe thay barchiyoon waley Hussain par


Qatil thay khanjaroon ko nikaley Hussain par
Ye dukh Nabi ki godh ke paley Hussain par


Teer e sitam nikaalne wala koi nahin
Girtey thay aur sambhaalne wala koi nahin


Zakhmo se chur chur huwa Fatima ka laal
Sarde riyaaz Ahmad o Hyder huwa nidhaal


Chehre pa khoon mal ke basad hasrat o malaal
Ki arz Shay ne shukr hai ay Rabb e Zuljalaal


Bachpan se roz o shab thi yahi aarzu mujhe
Ya Rabb tere karam ne kiya surkhuru mujhe


Is haal se jo saif ki shiddat huwi siwa
Sadma huwa juda taab tashnagi juda


Aashista rahwaar se Hazrat ne ye kaha
Ab waqt hai wida ka ay asb e ba wafa


Jangal mein ghar Batool ka lut ta hai Zuljanaah
Ab saath ek umr ka chut ta ha Zuljanaah


Ay khush kharaam ab na bachega tera sawaar
Ab ye gulu e khushk hai aur taegh e aabdaar


Ab laash par ghareeb ke daudeinge rahwaar
Pamaal hoga ab Shahe mardoon ka gulezaar


Baithega seena e pisar e Bu Turaab par
Qatil dharega paaon Khuda ki kitaab par


Zalim mere galey pa jo khanjar phiraega
Tujh se ye haal qahr ka dekha na jaaega


Naala haram ka hashr zamane mein laaega
Farte gham o alam se jigar thar tharaega


Ab hoga saamna qalaq o izteraar ka
Naize pe sar chadhega tere shahsawaar ka


Laakhon mein ek bekas o dilgeer hai hai
Farzand e Fatima ki ye tauqeer hai hai


Bhaaley wo aur pahlu e Shabbeer hai hai
Wo zahr mein bhujaye huwe teer hai hai


Ghussey mein thay jo fauj ke sarkash bharey huwe
Khali kiye Hussain pe tarkash bharey huwe


Wo gard thi jo bhaagtey phirtey thay waqt e jang
Ek sangdil ne paas se mara jabeen pa sang


Sadme se zard hogaya sibt e Nabi ka rang
Mathey pa haath tha ke galey par laga khudang


Thama gala janaab ne mathey ko chorr ke
Nikla woh teer halq e mubarak ko torr ke


Likha hai teen bhaal ka tha naawake sitam
Munh khul gaya ulat gayi gardan ruka jo dam


Khainchi sari galey ki taraf se ba chashme nam
Bhalein nikaley pusht ki jaanib se hokey kham


Ubla jo khoon nikalta huwa dam tahar gaya
Chullu rakha jo zakhm ke nichey tou bhar gaya


Girtey hain ab Hussain faras par se hai ghazab
Nikli rikaab paaye mutahhar se hai ghazab


Pahlu shigaafta huwa khanjar se hai ghazab
Ghash mein jhukey amama gira sar se hai ghazab


Quran rahle zeen se sar e farsh gir parra
Dewaar e Kaba baith gayi arsh gir parra


Gir kar kabhi uthey kabhi rakha zamee pa sar
Ugla kabhi lahu tou sambhala kabhi jigar


Hasrat se ki khayaam ki janib kabhi nazar
Karwat kabhi tarrap ke idhar li kabhi udhar


Uth baithey jab tou zakhm se barchi ke phal girey
Teer aur tan mein gadd gaye jab munh ke bhal girey


Jangal mein aayi Fatima Zahra ki ye sada
Ummat ne mujhko loot liya wa Mohammada


Is waqt kon haqq e mohabbat karey ada
Hai hai ye zulm aur dou aalam ka muqtara


Unnees sou hai zakhm taney chaak chaak par
Zainab nikal Hussain tarrapta hai khaak par


Zahra idhar tarrap ke giri aur haram udhar
Qatil ne taegh phaer di Sayyad ke halq par


Haatif ne aasmaan se sada di pukaar kar
Faryaad kat gaya pisar e Fatima ka sar


Be jaan lab e furaat e Shahe tashna lab huwa
Mara gaya Imame zamaan tou ghazab huwa


Dekha jo Ahlebait e Nabi ne utha ke sar
Naizey pe aaftaab e Imamat parra nazar


Daude saroon pa khaak udhatey ba chashme tar
Dekha ye haal jab sarey baleen huwa guzar


Taza lahu rawaan hai taney paash paash se
Takbeer ki sada chali aati hai laash se


Pardah ulat ke binte Ali nikli ba chashm e tar
Larzaan qadam khameeda kamar gharke khoon jigar


Charoon taraf pukaarti thi sar ko peet kar
Ay Karbala bata tera mehmaan hai kidhar


Amma qadam ab uthte nahi tashnakaam ke
Pahuncha dou laash par mere bazu ko thaam ke


Bhayya mein ab kahan se tumhein laaon kya karoon
Kya kahke apne dil ko mein samjhaaon kya karoon


Kiski duhayi doon kisey chillaaon kya karoon
Basti parayi hai mein kidhar jaaon kya karoon


Dunya tamaam ujarr gayi veerana ho gaya
Baithoon kahan ke ghar tou azakhana ho gaya


Hai hai tumharey aagey na khwahar guzar gayi
Bhayya batao kya tahey khanjar guzar gayi


Aayi sada na pooch jo hum par guzar gayi
Sad shukr jo guzar gayi behtar guzar gayi


Sar kat gaya hamey tou alam se firaagh hai
Gar hai tou bas tumhari judayi ka daagh hai


Haan aashiqon Hussain ke aah o buka karo
Zahra ka saath do madad e Mustafa karo


Haqq e mohabbat e Shahe wala ada karo
Be sar huwe Hussain qayamat bapa karo


Samjho shareek e majlis e matam Rasool ko
Sab milke dou Hussain ka pursa Batool ko


Bas ay Anees zauf se larzaan hai band band
Aalam mein yaadgaar raheinge ye chand band


Tapke qalam se zauf mein kya kya buland band
Aalam pasand lafzein hain sultaan pasand band


Ye fasl aur ye bazm e aza yaadgaar hai
Peeri ke walwale hain khiza ki bahaar hai


No comments:

Post a Comment