Tumhain aisa kyun lgta hai
Kay hum khud dhoondtay hain apnay rishton ko,
suno jana! kabhi aisa nahi hota,
Tumharay or mere chahnay se kuch nahi hota,
Kay sab rishtay, sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain,
Wo saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain,
Jo hum se jeet jatay hain,
Wo sab pehlay se rakhay hain,
Samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, sabhi rishtay,sabhi mosam,
Mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mosam hai,
Yeh kis ke dil pay utray ga?
Kahan par kab khileyga, konsi galiyon main mehkay ga?
Najanay konsa dil iskay rangon main fana hoga?
Najanay konsa dil is lamhay ko patay he
Ghani tareekh galiyon ki musafat say raha hoga?
Wazahat hum nahi kartay,
Mohabbat hum nahi krtay,
Kay yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai,
Humen pehchan leti hai,
kisi masroof kamray main pari beekaar chezon say
Yeh humko chaan leti hai,
Kabhi jab zakhm khalta hai,
Bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai,
Lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai,
Hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai,
Yeh hum main bandh deti hai naye mosam,
Naye soraj, naye tare or khusbo,
Yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz jiska maan rakhna farz hota hai,
Yeh hum par bojh banti hai,
Yeh hum par qarz hota hai,
Kahan, kis par nichawar jaan krni hai,
Yeh chahat hum nahi kartay,
Suno jana! mohabbat hum nahi krtay….
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment