Muhabbat Kiss Ko Kehtay Hain

Muhabbat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabbat ki kisi wadi main kho-ay thay
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main so-ay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhoon ne
Buhat khushfehmian pali
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni the
To uss damm aik pal socha!
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhi
Khail muhabbat ka phir khailain
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahi balkay dharakta dil hi rakhtay hain

No comments:

Post a Comment