Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Mujhe acha sa lagta hai,
Tumhare sang sang chalna,
Wafa ki agg main jalna,
Tumhe naraz kar dene,
Kabhi khud bhi roth jana,
Tumhari be rukhi per bhi tumhari arzo karna,
Khud apni dil ki dharkan se tumhari guftugu karna,

MUJHE ACHA SA LAGTA HAI..

Tumhi ko dekhte rehna,
Tumhi ko sochte rehna,
Bohut gehry khayalon main,
Jawabon main, sawalon main,
Muhabbat k hawalon main,
Tumhara naam ajana,

MUJHE ACHA SA LAGTA HAI.

No comments:

Post a Comment