Raat Ne Jalti Tanhai Main

Raat ne jalti tanhai main
Andheron ke jaal buney they
Deewaron par tareeki ki gard jami the
Khusbu ka ehsas fiza main toot raha tha
Ghar aangan khamoshi oorhay jaag rahi tha
Darwazey banhey phailaye oongh rahe they
Door samandar paar hawaian badlon se baatein karti theen
Aise main ik neend ka jhonka
Lehar bana aur guzar gaya
Phir aankh khuli to
Is mausam ki pehli baarish
Aur teri yaadein
Dono mil kar
Toot kar barsi......

No comments:

Post a Comment