Titliyon Ke Mausam Mein

Titliyon ke mausam mein nochna gulabon ka,
Daikh ker parindon ko bandhna nisahon ka
Reet is nagar ki hai
Aur jaane kab se hai ..

Tum abhi naey ho na isi liay preshan ho
Aasman ki janib is terha se mat dekho
Aaftein jab aati hain tootna sitaron ka,
Reet is nagar ki hai Aur jaane kab se hai ..


Shehar ke ye bashinday nafraton ko bo ker bhi
Intizar karte hain Fasal ho muhabbat ki
Bhol ker haqeeqat ko dhondna sarabon ka,
Reet is nagar ki hai Aur jaane kab se hai ..


Ajanbi fizaon mein ajnabi musafir se
Apne her taaluq ko daimi samjh lena
Aur jab bichar jana, maangna duaaon ka
Reet is nagar ki hai Aur jaane kab se hai ..


Khamshi mera sheva .. guftgu hunar un ka
Meri be-gunahi ko log kase maane ge??
Baat baat per jab mangna hawalon ka ..
Reet is nagar kia haiAur jaane kab se hai !!

8 comments:

  1. I think the last lines are like: Baat Baat per jab keh...maangna hawalon ka

    thanks for sharing ...was looking for it

    ReplyDelete
  2. very beautiful poetry,,,,,, realistic

    ReplyDelete
  3. Whose poetry is this? Please write his name..

    ReplyDelete
  4. Touch to heart...This poem is a universal true.

    ReplyDelete
  5. غزل کے پہلے بند میں ایک لائن missing ہے

    ReplyDelete