Ye Husn Tera Ye Ishq Mera

Ye husn tera ye ishq mera
Rangin to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi


Is raat ki nikhari rangat ko
Kuch aur nikhar jaane de zara
Nazaron ko bahak jaane de zara
Zulfon ko bikhar jaane de zara
Kuch dair kii hai taskiin sahi
Kuch dair kaa hai aaraam sahi


Jazbaat ki kaliyaan chunanaa hai
Aur pyaar kaa tohfa dena hai
Logon ki nigaahen kuchh bhi kahain
Logon se hamain kya lena hai
Ye Khaas taalluq aapas kaa
Duniya ki nazar main aam sahi


Rusavaai ke dar se ghabaraa kar
Ham tark-e-vafaa kab karate hain
Jis dil ko basaa lain pahaluu main
Us dil ko judaa kab karate hain
Jo hashr huaa hai laakhon kaa
Apana bhi wohi anjaam sahii


Ye husn tera ye ishq mera
Rangiin to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhii koi ilzaam sahi

No comments:

Post a Comment