Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey hain
Hath mein kasa-e-tadbeer hai,
AankhooN mein mousm-e-gulrang ki khwahish hai
Laboon pe tery bemuhar zamanoon key liye shikwey hain
Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey hain
Ik zara dekh keh hum narm-mizajoon key liye
Koonsi raat he, jis raat key aanchal mein hawa
Khwaab ko aaina-e-khwaab mein sar karti hai
Koonsa din he keh jis din ka zahoor
Harf-e-dil key liye sehra-e-tamanna ka safar karta he
Ik tery lams ki khatir hum ney
Khaima-e-dil meiN jalaye tery honey key charagh
Haan magar koyi suraagh
Teri aahat, teri aawaz, teri qad-o-qamat-o-khushboo ka suraagh
Jaanbelab hain ....magar ik harf-e-tassali key liye
zindagi, hum teri dehleez pe aa baithey hain
Hath meiN kasa-e-tadbeer liye
Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment