Abhi Ek Raat Adhuri Hai

Abhi ek raat adhuri hai
Meri baat adhuri hai
Tum sunlo to main keh don
Jo kehna hia tumhain
Mujhy kuch barsoon se
Ke tum bin 'meri zindagi'
Meri zaat adhuri hai
Abhi ek raat adhuri hai
Meri baat adhuri hai
Ek pal ko teher jao
Meri ankh k paymanay
Qabal iskay jhalak jayain
Meri sanson ki dori jo
Qabal k tut jayay jo
Qabal iskay mai tumse
Keh na paon jo
Mujhay itna hi kehnay do
Ke mairay paas
Apni yadon ko rehnay do..

No comments:

Post a Comment