Barishon ke mausam main
Aur kuch nahi hota,
Log yaad aate hain,
Chahaton ki dharti par,
Dil ke gulsitanon main,
Pehli boond parhte hi,
Zakhm khilne lagte hain,
Dard jaag utthey hain,
Yaad aane lagte hain,
Zindagi ke wo lamhey,
Jo guzarey jate hain,
Aik umer main sab ko,
Khushgawar lamhon main,
Zindagi ki rahon main,
Rootthna bhi hota hai,
Tootna bhi hota hai,
Sath chalne waley jab,
Raah ko badalte hain,
To dafn karna parhta hai,
Chaton ke lamhon ko,
Bhool na hi hota hai,
Barishon ke mausam main,
Aur kuch nahi hota,
Chahaton ke wo lamhey,
Phir se jaag utth'te hain,
Zakhm khilne lagte hain..!!!