Hamare Darmiyan Aisa Koi

Hamare darmiyan aisa koi rishta tha
Tere shanon pe koi chat nahin thi
Mere zimme koi angan nahi tha
Koi wada teri zanjir-e-pa banane nahi paya
Kisi iqrar ne meri kalai ko nahi thama
Hawa-e-dasht ki manind
To azad tha
Raste teri marzi ke tabe the
Mujhe bhi apni tanhai pe
Dekha jaye to
Pura tasarruf tha
Magar jab aj tu ne
Rasta badla
To kuch aisa laga mujh ko
Ke jaise tu ne mujh se bewafai ki