Her Raat Ek Naye Qarb Say

Her raat ek naye qarb say guzerta hoon
Gir ke sambhalta hoon sambhal ke girta hon


Woh khush naseeb hain jo apni maut marte hain
Yehaan yeh haal hai naa jeeta hoon na marta hoon


Waldiyet ki mehroomi bhi ek azab hai
Main cheekh to paoon meger duniya se bhi darta hoon


Yeh maana ke bair rakta hoon khuda se mein
Yeh bhi manta hoon ke mein uss se pyar karta hoon


Kyun mujh main hai mehroomi jo kisi mein nahin
kyun main doosro ki khushiyo say jalta hoon


Kyun main karke afsos nakaami per
Kyun qismat ka kaha kehkay haat malta hoon


Yeh kyu hi kyu hai meri zindagi per hawi
Aakhir mein kyu iss kyu ko kyu samajta hoon


Min jeena chahta hoon doosro ki tarah
Main jaanta hoon k mein jee bhi sakta hoon


Gharz iss baat se hai kamzori mere dil ki
Dil ki baat dil se karte huway darta hoon


Yeh ajab baat nahin maya kahay louchay ki tarah
Ehsaasay kamtari say aaj bhi mein larta hoon