Hum Mohabbat Ke Khuabon Ke

Hum mohabbat ke khuabon ke makeen
Waqt k tol alamnaak ke parvarda hein
Aik tareek azl, nor-e-abd say khali
HUm jo sadion say chalay hein to samajhtay hein ke sahil paya
Apni tahzeeb ki pakobi ko hasil paya
Hum mohabbat ke nihan khano mien basnay walay
Apni pamali ke afsano par hansnay walay
Hum samajhtay hein nishan sir manzil paya!
Hum mohabbat ke khuabon ke makeen
Kanj maazi mein hein baran zada taair ki tarah aasooda
Aur kabhi aafat-e-nagah say dar kar chonkien
Mahoor hein sadnigah neend ke bhaari parday
Hum mohabbat ke khuabon ke makeen
Aisay tareek kharabay ke jahan
Door say tez palat jaien zia ke aaho
Aik, bus ek sada goonjti ho
Shab-e-aalam ki "yahoo yahoo"!
Hum mohabbat ke khuabon ke makeen
Reg-o-zaar mein khuabon ke shajar botay rahay
Saya naped tha, saa ki tamanna ke talay sotay rahay

No comments:

Post a Comment