Ishq Junoon Bhi Sanjeedgi Bhi

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaao.n pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riffat bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaa bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton sa
To kabhi mandir ki moorton sa
Kabhi uryaaniyo ka shaida
To kabhi meera-o-mariam ki moorton sa
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Is liye hi bana khuda hai ishq...

No comments:

Post a Comment