Jub usay yaad kiya hai hum ne
Waqt burbaad kiya hai hum ne
Ek sheher faut aarzuon ka
Dil main aabaad kya hai hum ne
Aitaraaf-e-shikust hum ko na tha
Ye teray baad kiya hai hum ne
Hum ko iqrar-e-jurm haey yaaroan
Khud ko burbaad kiya hai hum ne
Qulb main tukhm-e-ishq ko bo ker
Rait ko khaad kiya hai hum ne
Tum giriftar-e-wafa thay Tanweer
Aaj aazaad kiya hai hum ne
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment