Koi Shikwa Nahi Kuch Gila

Koi shikwa nahi kuch gila nahi
Bus tanhayi si lagti hai
Jabse unke pyar me khoye hai
Apni zindgi parayi si lagti hai
Kabhi unka saath hame zamane se upar uthha deta tha
Ab unki har baat me gahrayi si lagti hai
Unhe na mile hamari bimari ka pata
ke wo bechain na ho
Par sochte hai unhe hamari aas si lagti hai
Bahut koshish karte hai is nadan dil ko bahlane ki
Par ise to bas unki hi pyas si lagti hai
Mujhe mohabbat ka nasha jab se hua hai
Ye sharab udas si lagti hai...
Kya yu hame judayi ke liye milaya tha
Ab uss khuda ki duya fariyad si lagti hai
Kyo chala do kadam sath nibha na saka
Uski har chal me ik riyad si lagti hai
Berukhi itni ke na dekha mere janaje ko
Meri maut unhe ittefak si lagti hai
Ab dekhiye chal pade wo naye safar ke liye
thamkar naya hath koi
Main majboor sab dekhta raha
kismat ki lakire behisab si lagti hai
Kya tha unke dil main hamare liye
Meri har ummid beaas si lagti hai