Mumkin Ho Aap Se To Bhula

Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhy
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhy


Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhy


Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhy


Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahi
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhy


Ki main ne apne zakham ki tashheer ja baja
Main maanta hoon jurm, saza dijiyey mujhy


Qaim tou ho sakey koi rishta gohor k saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhy


Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida
Hai tairgi tou aag laga dijiyey mujhy


Jaltey dinoon main khud pas deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhy


Youn tou shoola-e-jaan sard ho chuka
Lakin sulag uthoon tou hawa dijiyey mujhy

No comments:

Post a Comment